Zuban Se To Ae Dost| Anas Younus

Zuban Se To Ae Dost| Anas Younus

Zuban Se To Ae Dost| Anas Younus
: :

Zuban se to ae dost shahbaziyan hai
babaṭin magar aah khuffashiyan hai

Hakarat se mat dekh in asiyon ko
Ke taubah ki barkat se darbariyan hai

Jo parhez karte nahin maasiyat se
Unhen raah me sakht dushwariyan hai

Gunahon ke asbab se door honge
To manzil me har waqt asaniyan hai

Rahe haq me har gham se kyun hai gurezan
Rahe ishq me kab tan-asaniyan hai

Ye koon-e-tamanna ka inaam dekho
Jo wiraniyan thi wo abadiyan hai

Fida unki marzi pe apni raza kar
Faqeeri me dekhega sultaniyan hai

Tere hath se zer-e-taameer hun main
Mubarak mujhe meri wiraniyan hai

Jo peeta hai har waqt koon-e-tamanna
Usi dil pe nisbat ki tabaniyan hai

Tajlli har ek dil ki Akhtar alag hai
Meharbaniyan jaisi qurbaniyan hai

Zuban se to ae dost shahbaziyan hai
babaṭin magar aah khuffashiyan hai