Ye Ghazi Ye Tere Purasrar Bande | Junaid Jamshed
Ye Ghazi Ye Tere Purasrar Bande | Junaid Jamshed
Nazar Allah pe rakhta hai musalman ghuyur
Maut kiya shai hai faqat aalim-e-maani ka safar
In shaheedon ki diyat ahl-e-kaleesa se na mang
Qadr-o-qeemat me hai khoon jinka haram se badh kar
Aah ae marde musalman tujhe kya yad nahin
Harf-e-la tadoo ma Allahi ilahan aakhar
Ye ghazi ye tere purasrar bande
Jinhe tune bakhsha hai zauq-e-khudayi
Do neem inki thokar se sehra-o-dariya
Simat kar pahad inki haibat se raai
Ya ilahi, Ya ilahi, Ya ilahi, Ya ilahi
Do alam se karti hai begana dil ko
Ajab cheez hai lazzat-e-ashnaayi
Shahadat hai matloob maqsood-e-momin
Na maal-e-ghaneemat hai na kishwar kushai
Ya ilahi, Ya ilahi, Ya ilahi, Ya ilahi
Kiya tune sehranasheeno ko yakta
Khabar me nazar me azan-e-sahar me
Talab jiski sadiyon se thi zindagi ko
Wo sauz usne paya unhi ke jigar me
Ya ilahi, Ya ilahi, Ya ilahi, Ya ilahi
Kushad-e-dar-e-dil samajhte hain usko
Halaqat nahin maut unki nazar me
Dil-e-mard-e-momin me phir zinda kar de
Wo bijli ke thi nara-e-la tazar me
Azaim ko seeno me bedar kar de
Nigahen musalman ko talwar kar de
Ya ilahi, Ya ilahi, Ya ilahi, Ya ilahi