Ammi Ayesha (r.a) Qaseeda | Anas Younus
Ammi Ayesha (r.a) Qaseeda | Anas Younus
Sallalla Sallalla Salle Ala Mohammadin
Sallalla Sallalla Salle Ala Mohammadin
Nabuwat ka chaman hai ye gulistan hai risalat hai
Khizan ho ya koi tufan ise rab ki hifazat hai
Ae logo ho agar seene me dil bebakiyon wala
Sunata hun tumhen qissah bahut ghamnakiyon wala
Zameen me dard par jab chha raha tha aasmaan-e-gham
Ye ammi ayesha (r.a) par zulm ki hai dastan-e-gham
Nabi (saw) ki pyari zauja ka hua nadhal kandha tha
Munafiq bin ubai ne un pe ek bohtan bandha tha
Ye shaban-ul-moazzam panch hijri ka zamana tha
Qareebe najd ladne ke liye logo ne jaana tha
Munafiq jante the is jagah par jang na hogi
Aman wali jagah hai ham pe bilkul tang na hogi
Ladai se ye ghabrate the duniya thi inhen marghub
Riwayat hai ke is ghazwah marisiya me munafiq khub
Nikala mustafa ne qurah sab azwaj ka jis dam
To hazrat ayesha(r.a) apne muhammad ke huin hamdam
Khushi se dil machalne lag gaya shayeq hua tanman
Safar ke waste tayyariyan karne lagin fauran
Idhar Asma ka pahna haar aur makhmal me aa baithin
Udhar khushiyan hi khishiyan Ayesha ke dil me aa baithin
Safar se wapsi par qaflah raat ek jagah thahra
Isi khamosh manzar me chhupa tha ek asar gahra
Gayin thin Ayesha jab rafa hajat ko magar aa kar
Pareshan ho gain apne gale me haar na pa kar
Idhar ye justju-e-haar ke thin ranj ke mare
Udhar woh qafile wale rawana ho gye sare
Talash-e-haar me siddiqah ne wo haar to paya
Magar jab aayin wapas to wahan sannata tha chhaya
Khuda ki shan peechhe aa rahe then hazrate safwan (r.a)
Qareeb aa kar jo dekha Ayesha ko ho gaye hairan
Ye baithin oont par unke wo paidal chal pare lekar
The dil bhi saaf aur pakeezgi ke dono then paikar
Bahut hi jald apne qafile se ja mile dono
Munafiq bin ubai ko ye khatakne lag gaye dono
Kiya na tha ye wahashatnaak nazara madine me
Diya ilzam amma Ayesha ko us kameene ne
Munafiq sab madine me ye phailane lage qissah
Jo jitna tha bura utna hi lene lag gaya hissah
Abhi tak paak siddiqah ko kuchh maaloom hi na tha
Ye to maasoom thin par dushmanon ke dil me keena tha
Sahaba is khabar par ungliyan kaano me rakhte then
Munafiq badchalan lekin yahi bohtaan bakte then
Suna ek din ye qissah umme mestah ki zabani jab
To lautin Ayesha ghar ulte paaon kaam bhoolin sab
Yaqeen ab bhi inhen na tha magar ye aa gayeen maike
Sisakti Ayesha ne maa ka daman thama yahan aake
Magar maa ne faqat taskeen di kuchh bol na paayin
Achanak unke darwaze pe ek Ansariya aayin
Jo dekha Ayesha usne sara qissah dohraya
Ye sun kar paaon larze Ayesha ke sar bhi chkraya
Nahin nazuk koi shai ‘izzat-o-namoos jaisi hai
Ye chaknachoor ho jane me ek fanoos jaisi hai
Ghamon se bhar gaya tha seena dil bhi para para tha
Faqat tanhaai ka daman tha aansoo ka sahara tha
Zikr kartin hain ammi Ayesha ye almiyah hamse
Ke aankhen khushk meri ho gayin ro ro is gham se
Sallalla Sallalla Salle Ala Mohammadin
Sallalla Sallalla Salle Ala Mohammadin
Phir ek din aa gaye sarkar-e-do’alam mere ghar par
Kaha jab mujhko dekha ghamzadah hun apne bistar par
Agar mujrim ho taubah kar lo Allah maaf kar dega
Agar mujrim nahin ho tum to phir quran utrega
Ye sun kar ho gaya haasil mujhe ek itminaan-e-dil
Sukoon se ho gaya labrez ab mera makan-e-dil
Kaha maine ke mera haal hai Yaqoob ke jaisa
Qarar-e-dil mujhe deta hai ab sabr-e-jameel jaisa
Achanak ho gayi pyare nabi par kaifiyat taari
Bara’at par meri hone laga ailan-e-rab jari
Utari rab ne das ayaat meri paakbazi par
Ghazab rab ka hua fittin ki dushnaam saazi par
Rahin siddiqah paakizah hue badnam sab ashrar
Hua tha haar jiska gum gaye dushaman usi ke haar
Koi apnne liye bhi maa ki gaali sah nahi sakta
Ho tohmat umme ummat par to mai chup rah nahin sakta
Are kuchh soch to lete ke karne jaa rahe ho kya
Kisi maasoom ko tarpa ke akhir paa rahe ho kiya
Abhi to khelne ke din the wo 14 baras ki thi
Shahe maasum ke hamrah roti our hansti thi
Banine Ayesha aao banate Ayesha aao
Jo naar-e-dushamani me jal rahen hain unko samjhao
Ae umm-ul-momneen dushamanon ilam ke a’ada
Abhi aulad amma Ayesha ki rooh hai zindah
Na chhero apne hathkando se ab bhi baaz aa jao
Ye be taqeeq hai dushanaam sazi is se katraao
Samajhta jo nahin shaitan ki chalon me phansta hai
Ye dekho kis qadar iblees bhi ham sab pe hansta hai
Hame apas me ladwa kar hamara kar diya nuqsan
Usi ki chal hai insan ko tadpa rha insan
Darudon ka hamari taraf se hadiya Muhammad ko
Salamon ka hamari taraf se tohfah Muhammad ko
Sahaba par bhi unke khuda ki rahmaten nazil
Ho pyari ummahat-ul-momneen par barqaten nazil
Musalmanon ki maa hun mai magar Siddiq (ra) ki beti
Kabhi Siddiq ki aaghosh me leti kabhi baithi
Mere sartaj ne kul zindagi rakha tha paas uska
Mai beti jiski hun pahna frishton ne libas uska
Muhammad ke Abu Bakr-o-Umar (r.a) majnoon hain dono
Mere ghar me Abu Bakr-o-Umar (r.a) madfoon hain dono
Meri paakizah koi ko samajhna khub aasaan hai
Laga lo is se andazah mera damad usma (r.d) hai
Ae tohmat dene walon sarwar-e-konain se poochho
Ali aur Fatma se poochh lo Hasnain se poochho
AbuBakr-o-Umar, Usmaan-o-Haidar, Fatma, Hasnain
Meri ‘asmat pe to shahid hai rabbe shah zulqurnain
Andhera hi andhera hai jo batil ka ujala hai
Khuda ki taraf se tai hai ke haq ka bol bala hai
Salame bint siddiq-e-rafiq-e-shah noorani
Salame zouja-e-mahbooba-e-mahboob rabbani
Salame Fatma ke pyare pyare baap ki raani
Salame Mustafa ke ladle Hasnain ki naani
Ye mere chand aansoon hain hifazat inki kar lena
Ae mere bhaaiyon bahnon sharakat inki kar lena
Ilahi is nazam se har kisi ke dil ko garma de
Osama aur Anas ke dard dil ko aam farma de
Sallalla Sallalla Salle Ala Mohammadin
Sallalla Sallalla Salle Ala Mohammadin